Mujhe apne pyaar ki panahon main rakhna



Join Love Ever Group for Lovely Mails!!!!!




 Ek haseen khuwab bana kar tum
Mujhe har pal apni nigahon main rakhna
Choo na sakein mujhe ye hawaein behki si
Mujhe qaid apni wafaon main rakhna
Main khaak hoon bikhar na jaon kahin
Mujhe samait kar apne hathon main rakhna
Jo karo tum muhabbat hadon se guzar kar
Mera naam tum apni muhabbat main rakhna
Main karta hoon ehsaas tumhara
Tum bhi mujhe yaad apni duaon main rakhna
Kabhi bikhar na sake dardish-e-zamana
Mujhe apne pyaar ki panahon main rakhna




0 comments:

Post a Comment