Ahsaas hai mujhe ki woh ab nahi hai



Ahsaas hai mujhe ki woh ab nahi hai
Nahi hai wo mere sang nahi hai..
Door toh woh tha hee .. Magar ..
Magar ab woh hai hee nahi hai !!
Hai nahi koi umeed fir bhi .. kyun…
Nazar meri kuch dhoondh rahi hai ?.
Dhoondhna chahti hai kyun ab bhi woh..
uske lafzon me mera naam 
jo ab wahan nahi hai !
Wahan kuch surkh ho gaya hai ya..
Yahan kuch khalti kami hai ?
Khalti hai nazar mujhe meri .. Jo
Har taraf teri hi nazar dhoondh rahi hai !
Mujhe ahsaas hai ki teri hansi mein ..
Hai chhupi meri hansi hai !
Garr baha ek bhi qatra yahan gham ka..
Gham woh gham nahi garr
fiza teri mehki hui hai !
Meri shikayat uss tak naa pohochegi ..
Na pohochegi kyunki uski rehmat bhi badi hai,
Badi hai uski harr kahani kyunki
Uss kahani mein usne khushi teri likhi hai !
Main na hi uska rasta naa koi manzil…
Yeh toh usay kahin aur hi dikhi hai !
Shahakaar mere hai khubsurat Kyunki
Unmein tera aks.. meri zindagi bhari hai ..
Dikh toh jayega usko usme kuch ..
K usme mere tassavur mein tuh judi hai..
Judi hai jaane kis dorr sae tuti patang
Nahi pata ki ye meri khata ya ..
Isme abhi bhi kuch taan padi hai ??
Ahsaas hai mujhe ki woh ab nahi hai..
Kitna asaan hai dekho jeena zindagi
K Zindagi bhi ab soch mein padi hai.
Kar di khali maine soch kisi ki ..
Soch mein kyun ab meri khushi padi hai ?..
Kushi hai kashmakash mein lekin ..
Kashmakash beparwah khadi hai ..
Pata hai usko ki kisi ko ab khushi mili hai !
Aah na pohonchegi wahan .. kyunki
Aah dard ae sabab uske liye fir bani hai..
Daba diya hai isko kahin..
Kahin chupa diya naa ab ye samne bachi hai..
Jaa chuke hain woh unke liye ab
manzar khudai lekar naya khadi hai..
naya manzar toh yahan bhi hai ..
Kahi koi baat khaali toh kayi 
baatoN ki jhadi hai
Ahsaas hai mujhko k woh ab nahi hai
Jo nahi thi haath mein 
ab ankhon se bhi ojhal ho chali hai !

0 comments:

Post a Comment